Surprise Me!

Santosh Sharma - Kyoon Badli Hain Rahain

2014-11-10 3 Dailymotion

Kyoon Badli Hain Rahain

Original Hindi Transliteration

Kyoon uthi hai a Bhishen Jawala Hinsa Ki
Kisne Vish Ghola Hai in ankurit Manno Main
Aakrosh Hai kisi Manviye Trasdi Ka
Ya ghrina hai kisi Samajik Aacharn Ki
Kahin Ye hath Vanchit hai, Manvanchhit Karm Se
Ya Gumrah kiya hai Jati or Dharm ke Shatano Nain

Kyoon Uthaya hai Khanjar is abla Nari Ne
Kal jo Pratik Thi, Prem, sewa, tyaag or Tapsaya ki
Kyoon aaj isne apne Hath Range Hain Khoon Ki Holi Se.
Kahin n kahin to Shoshan or Atyachar ki seema todi hogi
Manavata ke sodagar or Jagirdaraon Nain

Aaj ye Navyuvak kyoon khel rahain hain Barud orGolon se
Kyoon inko itni Muhbat hai Bandook ki Goli Se
Bachpan Bita Hoga Bin Mamta or Khilono Se
Ya Fir Krurta or Nirdayta Rahi Hogi Inke Sahibano Ki

Manvata ko is Avishap se Bachana Hoga
Sabhya Shikshit or Samridh samaj ko age aana hoga
Manvata ko Manviye Mulaon se hi ucharna Hoga
Har Hath Ko, kam, prem, izatt or Samman Dena Hoga
Is sankramak ko phalnae se rokna hoga

Nahin to kal manvata hi manvata ka avishap na ban jaye
Or inhin karano se kalyug ki aayu per antim parda naa pad jae
Phir Dharti Maan Naye yug main manav sarancha se
Pahale hazar bar sochae ya santust rah jaye
Vanspati jagat, amoeba or vanya praniyon se.

Santosh Sharma

http://www.poemhunter.com/poem/kyoon-badli-hain-rahain/